Tuesday 22 February 2011

Main Hindu, Tu Musalmaan

 Vo jo kehtein hai ke dangon mein unhone apne maa baap ko gawaya hai,      

unse jakar keh do, inn dango ne kisi ki ammi aur abbu ka khoon bhi bahaya hai.

kyun na apne charon aur sarhadein bana do,
ek falak naya dhoondo aur maasumiyat jala do


Bhagte raho tum, aankh moond kar yun
andhi si daud mein, insaaniyat bhula do

Bichne do aur laashe, behne do be khataa lahu
laashon k dher par tum apna ghar bana do

Zaleeel koshishein hain, naakam zindagi hai,
Tabhi toh tumko ab tak "hindu ya musalmaan" hone ki padi hai!!!

3 comments:

  1. >i loved the poem. not for the way it is written..not for the vocab..but simply for the feel..the beginning n ending is superb..i dont knw why but since then( u knw since when) i really want to spread this message ..in the literal sense..so thank you for the effort..they will bear fruit.bravo.love youn m proud that sensitive souls like u exist.:)

    ReplyDelete
  2. Zyada samajh nahin aaya....par kuch achcha sa tha...teri bakwaas kabhi kabhi bahut miss karti hoon....

    ReplyDelete