Thursday 27 October 2011

Kaho Kya khayal hai :)

Kaho kya khayal hai by The Dewarists- my recent obsession !



Vocals- Zeb and Haniya
Composed by- Shantanu Moitra
Lyrics- Swanand Kirkire



Dhadkano ki taal baaje
Saanson ka iktara
Aangan mein sajaye baithein
Sooraj chanda taara

Dhadkano ki taal baaje
Saanson ka iktara
Aangan mein sajaye baithein
Sooraj chanda taara

Chalo baant lein hum zindagi
Zara aaj yun kar lein
Kaho kya khayal hai

Bengali chant

Ik jahan chota sa apna
Ik jahan tumhara
Muskaan chahe meethi ho
Ya aansoon ik khara

Chalo baant lein ghum aur khushi
Thodi guftagoo kar lein
Kaho kya khayaal hai

Aap se do baat kar lein
Yaadon ko jebon mein bhar lein
Aaye hain hum kuch dino ke baad

Yaaron ki saubat mein aake
Dheere se kuch gunguna ke
Yuhin kat jaate hain din aur raat

Muthi mein tum bheench lana sawan hara
Ek dhanak tum bhi tod lana falak se zara
Muthi muthi baant lenge kiranon ka katra
Ik sikka dhoop humse lena gar kam laga
Betuk hi Be matlab hans le hum
Kyun na is lamhe mein
Haan jee lein hum

Chalo baant lein hum zindagi
Zara aaj yun kar lein
Kaho kya khayaal hai

Aap se do baat kar lein
Yaadon ko jebon mein bhar lein
Aaye hain hum kuch dino ke baad

Yaaron ki saubat mein aake
Dheere se kuch gunguna ke
Yuhin kat jaate hain din aur raat

No comments:

Post a Comment