Friday 23 March 2012

Kahaani..


Ek kahaani teri hai,
Aur ek kahaani meri hai.
Kuch manmani teri hai,
Aur kuch manmani meri bhi.


Ruki, badhi, kabhi ruk ke badhi,
Phir bhi jane kyun wahin khadi,
Ek raat diwaani teri hai,
Ek raat diwani meri bhi

Bikhri bikhri si lagti hain,
inhe baandh ke rakh ab gathri mein,
Ek yaad purani teri hai,
Ek yaad purani meri bhi.

Khel khel mein khel se jud gaye,
Chalte chalte, ye kis aur mud gaye
Ab khatm kahaani teri hai?
aur khatm kahaani meri bhi?


Kuch manmani teri thi,
Aur kuch manmani meri bhi.

7 comments:

  1. artist bhi hai tu to :D

    ReplyDelete
  2. Replies
    1. arey! Yahan toh hindi ya angrezi chal sakti thi Arjun Sa'ab! ! :D

      Delete
  3. Ek expression tera hai
    Aur ek comment mera bhi "badhiya hai"

    ReplyDelete
  4. Ek expression tera hai
    Aur ek comment mera bhi "badhiya hai"

    ReplyDelete
  5. Ek expression tera hai
    Aur ek comment mera bhi "badhiya hai"

    ReplyDelete
    Replies
    1. toh matlab tum teen baar comment karogi? :D
      Thanks Neha! :)

      Delete